sare jahan se accha hindostan hamara
hum bulbulain hai is ki, yeh gulsitan hamara
ghurbat men hon agar ham, rahta hai dil vatan men
samjho vahin hamen bhi, dil hain jahan hamara
parbat voh sab se uncha, hamsaya asman ka
voh santari hamara, voh pasban hamara
godi men khelti hain is ki hazaron nadiya
gulshan hai jin ke dam se, rashk-e-janan hamara
aye ab, raud, ganga, voh din hen yad tujhko
utara tere kinare, jab karvan hamara
maz'hab nahin sikhata apas men bayr rakhna
hindvi hai ham, vatan hai hindostan hamara
yunan-o-misr-o-roma, sab mil gaye jahan se
ab tak magar hai baqi, nam-o-nishan hamara
kuch bat hai keh hasti, milati nahin hamari
sadiyon raha hai dushman, daur-e-zaman hamara
iqbal ko'i meharam, apna nahin jahan men
m'alum kya kisi ko, dard-e-nihan hamara
sare jahan se accha hindostan hamara
ham bulbulain hai is ki, yeh gulsitan hamara
0 comments:
Post a Comment