Mere Desh Ki Dharti Lyrics

Mere desh ki dharti...
Mere desh ki dharti, sona ugle, ugle heere moti
Mere desh ki dharti
Mere desh ki dharti

Mere desh ki dharti, sona ugle, ugle heere moti
Mere desh ki dharti
Mere desh ki dharti

Aa..aa..aa..aa..
Ho..ho..ho..ho..

Bailon ke gale mein jab ghunghru
Jeevan ka raag sunate hain
Jeevan ka raag sunate hain
Ghum kos door ho jata hai
Khushiyon ke kamal muskaate hain
Khushiyon ke kamal muskaate hain
Ho ho ....

Sun ke rahat ki aawaajein
Sun ke rahat ki aawaajein
Yun lage kahin shehnaayi baje
Yun lage kahin shehnaayi baje
Aate hi mast baharon ke
Dulhan ki tarah har khet saje
Dulhan ki tarah har khet saje

Mere desh ki dharti...
Mere desh ki dharti, sona ugle, ugle heere moti
Mere desh ki dharti
Mere desh ki dharti

Jab chalte hain is dharti pe hal
Mamta angdaiyaan leti hai
Mamta angdaiyaan leti hai
Kyon na pooje is maati ko
Jo jeevan ka sukh deti hai
Jo jeevan ka sukh deti hai
Ho ho....
Is dharti pe jisne janam liya
Is dharti pe jisne janam liya
Usne hi paya pyaar tera
Usne hi paya pyaar tera
Yahan apna paraya koi nahi
Hain sab pe maa upkaar tera
Hain sab pe maa upkaar tera

Mere desh ki dharti...
Mere desh ki dharti, sona ugle, ugle heere moti
Mere desh ki dharti
Mere desh ki dharti

Ye baag hain gautam nanak ka
Khilte hain aman ke phool yahaan
Khilte hain aman ke phool yahaan
Gandhi, subhash..
Gandhi, subhash, tagore, tilak
Aise hain chaman ke phool yahaan
Aise hain chaman ke phool yahaan

Rang hara hari singh nalawe ke
Rang laal hain laal bahadur ke
Rang bana basanti bhagat singh
Rang aman ka veer jawahar se

Mere desh ki dharti...
Mere desh ki dharti, sona ugle, ugle heere moti
Mere desh ki dharti
Mere desh ki dharti

Mere desh ki dharti, sona ugle, ugle heere moti
Mere desh ki dharti

Mere desh ki dharti

0 comments:

Post a Comment

 
Top